🌟 Umeed Baandhiye Na/امید باندھیۓ نہ🌟
*•┈━━━━•❄︎•❄︎•━━━━┈•*
امید باندھیۓ نہ
امید باندھیۓ نہ بڑے آدمی کے ساتھدیں گے سدا فریب تمہیں دوستی کے ساتھ
چند روزہ زندگی ہے، نہ ہنس کر اسے گنوا
باطن بھی صاف کر لے ذرا بندگی کے ساتھ
دل کی اداس بستی میں، یہ کون شخص ہے
آتی ہے اس کی یاد، بہت بے کلی کے ساتھ
چاروں طرف سے آتی ہے، کیسی صدا ہے یہ
سنتا ہی رہتا ہوں اسے، دیوانگی کے ساتھ
جس جس سے ملتے رہتے ہو ہنس ہنس کے تم سدا
مجھ سے بھی تو ملا کرو، تھوڑی ہنسی کے ساتھ
دنیا کے لوگ کہتے ہیں اس کو برا بھلا
جو زندگی گزاری نہیں، سادگی کے ساتھ
از ✒️(مُحبؔ طاھری)
🌟 उम्मीद बांधिए ना🌟
![]() |
Umeed Baandhiye Na |
उम्मीद बांधिए ना बड़े आदमी के साथ
देंगे सदा फरेब तुम्हें दोस्ती के साथ
चंद रोज़ा जिंदगी है, न हंस कर इसे गंवा
बातिन भी साफ कर ले ज़रा बंदगी के साथ
दिल की उदास बस्ती में, ये कौन शख़्स है
आती है उसकी याद, बहुत बेकली के साथ
चारों तरफ से आती है, कैसी सदा है ये
सुनता ही रहता हूं इसे, दीवानगी के साथ
जिस-जिस से मिलते रहते हो हंस-हंस के तुम सदा
मुझसे भी तो मिला करो, थोड़ी हंसी के साथ
दुनिया के लोग कहते हैं उसको बुरा-भला
जो जिंदगी गुजारी नहीं, सादगी के साथ
29/11/2002
By: मोहिब ताहिरी
Read This Also: Beete Bachpan ke Din
🌸✨🌼🌟🌿 ~~~ 🌟🌿🌼✨🌸
UMEED BAANDHIYE NA
*Umeed baandhiye na bade aadmi ke saath
denge sada fareb tumhe dosti ke saath
*jab bhi kisi ka naam lun,lap pe hai tera naam
dil ka hai kya lagao,teri zindagi ke saath
*chand rozah zindagi hai,na hans kar ise ganwa
baatin bhi saaf karle zara bandagi ke saath
*pal kar ghamo ke saaye me jo bhi jawan huwa
uski khushi abas hai,ghame zindagi ke saath
*dil ki udaas basti me,ye kaun shakhs hai
aati hai uski yaad,bahut bekali ke saath
*mujhko khuda faqeeri ki daulat bhi kar ada
ye meri ilteja hai faqt aajazi ke saath
*chaaron taraf se aati hai,kaisi sada hai ye
sunta hi rahta hun ise,deewangi ke saath
*mujhse khata huyi hai kya jo rooth tum gaye
yun jaao tum na mere sanam,be rukhi ke saath
*jis tis se milte rahte ho hans hans ke tum sada
mujhse bhi to mila karo thodi hansi ke saath
*ye kaisa zor, kaisi zabardasti hai miyan!
mai baandha jaa raha hun kisi ajnabi ke saath
*duniya ke log kahte hain usko bura bhala
jo zindagi guzari nahi, saadgi ke saath
*unka karam hai unka karam hai faqt Mohib
tum zindagi guzar rahe ho khushi ke saath
*******
By: Mohib Tahiri
29/11/2002
Read This also: Pardesiyon ke Liye: Kya Yehi Pardes hai